member 0 Report post Posted January 24, 2008 Here is my work , i donno if it is right place to share but hope it is ok with this site. If you have your own please post it to me as well1>Laakh shadab sahi Aalam,Nigah-e-karam se aapki.Mere daaman men aapke phool bhi,Khaar ban ke chubho diye.2>Chaaha ke yaad rakkhun,Har ek khusi ko,Lagata magar haafiza kamzor hai mera.Jab bhoolna hain chaaha, hadsat-e-zindagi,Ab sochta hun Aah! kya zehen hai paya.3>Raonda gaya hun jaise,Paaon tale masle gaye hon phool.Mumkin hai iski khushboo,Ab faelegi bahot door.4>Maanga tujhi se sab kuchchh,Ab ek dua aur.Deta raha tu sab kuchchh,Bas chalta rahe ye daur.5>Maana ke teri zindagi yun, bedaag hai guzri.Par ye rang safedi ka bhi koi khaak rang hai?6>Is khush ganwaar zindagi men bhi kyon,Aata nahin sukoon?Zakriya! daaman se pareshaan ho,Ya dhabbon se pasheman?7>Hai agar humraaz koi mera, to bata de.Ki kaun si mutthi men, sukoon qaid hai mera.8>Beshak Haseen hain Sapne,Jo aankhon men hain magar.Palak palak se juda hui,To khwaab toot jayenge.9>Har shae to hai de dee,Aye khudgarz zamane!Ab katte hue shajr se,Saaya nahi maanga karte!10>Naaseh to bahot honge,Is raah pe magar,Rehbar bhi koi hota,To kya baat thi!11>Ab rehne hi do Maalik,Khidmat-e-Khalq ka sawaab.Jinke bhi ghar basaye,Khaana-Kharab nikle. 12>Sang-e-marmar ke safedee pe siyahi undel dee?Nadaan log hain mujhko naaqis bana diya.13>Hum kya karenge bana kar,Naye aashiyan ka!Koi khaana badosh nikle,Koi khaana kharab nikla.14>Ye chaahne ka Aalam bhi,Ajab kashmkash ka hai Aalam.Kabhi aarzoo-e-chaahat ko,Kabhi tumko chaahate hain hum.15>Zaalim si us ada ko,Kabhi fursat men yaad karna.Wo chont pe laga ke marham,Fir marham pe chont karna.16>Is sunsaan se veerane men,Ik char-charahat si sunaai dee hai.Ye waqt ke sholey shaayad,Mere lamhe jala rahe hain.17>Husne-e-Salooq karta hun,To har waqt dagaa milta hai.Do-chaar baras ki baat nahin,Ye nisf sadi ka qissa hai.18>Kisi muddat ke baad laota hai, ye hansta hua zamaana.Taareekiyon ke baad fir, raoshan hua zamaana.Aksar mile jo dost mujhe, ajnabi lage.Ab jaa ke tu mila hai, mera apna sa dostaana.Meri aankh ko,kisi aankh ki, bas! nazar-nazar men talaash thi.Ab tum jo mil gaye ho, tum bhi chale naa jaana.Itnee si ik guzaarish, Aye zamaane tu yaad rakhna.Jab 'Dosti' ho likhna, mere 'Dost' ka naam likhna.19>Ab mujhse maangte hain Khudara,Tere hone ka ye saboot.Ya ' Ibn-e-Maryam ' dikhaaun inko,Ya khud ko dikhaun main?20>Naa hi ' Aadam ' yahan pe koi,Naa hi ' Isa ' yahan pe koi.Ab kisko kahun main Insaan,Aur kisko kahun main zindaa?21>Patton pe bani ye shabnam,Seenpon men chhupa ye moti,Aankhon se gira ye aansu,Kisi shab ke andhere men,In sab ka fasaana hai.22>Kisi aarzoo ke peechhe,Dauda kiye hain har dum.Ab naa to aarzoo bachi hai,Naa hi zindagee hai baaqi.23>Kya kuchchh pada hai sehena,Teri kaynaat men.Jo khud nahee hain zinda,Mujhe jeena sikha rahe hain.24>Jabeen pe nishaan-e-sajda,Daaman pe daag-e-khoon.Kya tum hi ho wahi zalim,Jo Aalim bane hain firte?25>Kisi ne mehboob ko, soorat ko,Kisi ne daulat ko, shohrat ko,Kisi ne duniya ko, zaroorat ko,Kisi ne patthar ko, moorat ko,Har ek ne pakda hai yahan, apna hi Khuda aur.Khaali nahin bacha hi, yahan Maabood koi aur.Ik ' Tu ' hi reh gaya hai Bas! inki nigaah se.So, tujhko pakad raha hun Bas! inki panaah se.26>Jo naa Istamaal hota,'Lafz-e-Ulfat' ye baar-baar,Zara main bhi kharch karta,Ise tum par sambhaal kar.27>Sharm-o-Haya se kiska,Yahan waasta padaa hai?Kuchchh behayaa hain hum bhi,Aut tu besharam bada hai.28>Jo khud naa sun paaye kabhi,Khud ki nidaa-e-Qalb,To taameel kya karenge,Huqm-e-rasool ki ?29>Kabhi tera gum hai bhaari,Kabhi mera gum ziyaada,Har ek gum ki Taareef , yahan eksaa nahin.Kabhi tera dard umdah,Kabhi mera dard Aala,Har ek Dard-e-Dil to yahan, eksaa nahin.Kaheen main karoonga Pardah,Kaheen tum karoge Rukhsat,Har ek ki Sawaari , yahan eksaa nahin.'Ye' bhool jayen shaayad,Marne ke baad mujhko,Har ek ki Kahaani , yahan eksaa nahin.Halke se waar karna,Aye Farishton! zara mujh par,Har ek ke Gunaah , yahan eksaa nahin.30>Ye kaun badgumaan hain?Jo dil se kare hain shikwaa!Kya wo jaante naheen hain,Aalim ke Gunaah ko?31>Tere chaahne walon ki taadad , beshumaar sahi.Par us qataar men ab, mera koi shumaar nahin.32>Suna hai aajkal tu bhi ,Zaraa bezaar haal hai.Ye sila hai tere zulm ka,Ya meri bad-dua ka kamaal hai.33>Achchha hai! ki khud duniya hi,Keheti hai mujhe paagal.Warna dar-dar bhatak-bhatak ke,Kis kisko main samjhata.34>Kuchchh zakhm utaare the, Ashaar men maine,Ye soch kar ke Log mera Dard sunenge.Jo sun chuke wo mere Alfaz-e- Ranj-o-Gum,Khilli uda ke uski, Huns kar nikal gaye. Share this post Link to post Share on other sites
member 0 Report post Posted January 24, 2008 Oh I forgot to enquire if this site allows hindi shayari. Sorry if it is not right. Please tell me if its ok. Share this post Link to post Share on other sites
slave 0 Report post Posted March 18, 2008 nice shyeri.. i know hindi and urdu wellMuhbat walon kay khel bhi ajeb hoty hainjabh result ata hai to askar fail hoty hainthis sher was written by my firend he is pakistani Share this post Link to post Share on other sites
iGuest 3 Report post Posted August 17, 2008 comment Share You Shayari And Poems Beautiful shayari with hindi and urdu combination. I liked your "kya kuchh pada hai sehna..." very much Share this post Link to post Share on other sites
iGuest 3 Report post Posted October 31, 2009 SMS ShayariShare You Shayari And Poemspyaar karnar ne jagat maaf nathi kartu,Koi eni sathe sacho insaaf nathi kartu,Pyaar ne paap kahenaara koi to dekhado mane...Kon evu che aa duniya ma j aa paap nathi kartu?? -reply by Afsal Share this post Link to post Share on other sites